★★★★★5.0
Bilkul pure variety – jaisa bola waisa hi mila
Mera plant bilkul genuine aur healthy mila. Growth bhi fast hai. Paisa vasool experience raha.
Hamari nursery ke paudhe 🌿
Fruit plants, citrus, honey aur spices — sab ek jagah.
Hamare YouTube channel ki latest shorts — nursery, bageeche aur shahad, seedhe khet se.
Sarson, sunflower, tulsi, ajwain, jamun aur apple ke phoolon se — har shahad ka apna swaad. Saath mein roz ke liye multiflora honey bhi.
Lovely Nursery sirf plants nahi, guaranteed quality deliver karta hai — 100% pure varieties aur damage-proof packing. That's why we're different.

Kuch alag lagana hai? Yeh varieties har season limited aati hain.
20 saal ka trust, pure quality aur North India ki reliable nursery.
Har plant carefully select aur hand-grown hota hai. Hum sirf genuine aur true-to-type varieties hi deliver karte hain.
Every plant is nurtured naturally at our nursery, so only healthy, strong plants reach you.
Damage-proof packing ke saath plants aapke ghar tak healthy condition mein pahunchte hain — even gaon tak.
Two decades of growing fruit plants for gardens and farms across North India.
Dekhiye hamari nursery mein paudhe kaise taiyar hote hain — grafting se lekar packing tak, aur kaise wo aap tak pahunchte hain.
Asli customers, asli baatein.
★★★★★5.0
Mera plant bilkul genuine aur healthy mila. Growth bhi fast hai. Paisa vasool experience raha.
★★★★★5.0
Plant bilkul fresh aur safe condition mein mila. Packing strong thi aur 2 hafte mein hi new leaves aa gayi. Quality dekh kar bahut khush hoon.
★★★★★5.0
Maine Lovely Nursery se Citrus plants order kiye the, aur honestly quality dekh ke bahut khush hua. Plants healthy the, roots strong thi aur packing bhi kaafi secure thi.
★★★★★5.0
मुझे Dormancy वाले पौधे चाहिए थे और यहाँ सही वैरायटी मिल गई। पैकिंग बढ़िया थी और पौधे का साइज भी उम्मीद से बेहतर था। कस्टमर सपोर्ट ने भी अच्छे से मदद करी।
Krishan Kumar
★★★★★5.0
Plant size expected se bada tha aur damage bilkul nahi hua. Service aur quality dono zabardast lage.
★★★★★5.0
पहली बार यहाँ से पौधे मंगवाए थे और अनुभव बहुत अच्छा रहा। पौधा बिल्कुल ताज़ा और सही हालत में मिला। अब आगे से पौधे यहीं से खरीदूँगा।
Ram Kumar
Lovely Nursery ek parivaar ki kahani hai — madhumakhi palan se shuru hui, phir paudhon ki nursery bani, aur aaj seedha aapke ghar tak pahunchti hai.
Bachpan se hi ghar mein madhumakhi palan hota tha. Chhatte ka frame haath mein lekar seekha ki shuddh shahad kaise banta hai — wahi seekh aaj bhi hamare har jar mein hai.
Karnal, Haryana mein ek chhoti si nursery se shuruaat hui. 20+ saal baad bhi har paudha hum khud taiyar karte hain — grafting se packing tak.
Jo seekha, wo baanta. Kisano ko grafting aur pruning ki training di, taaki unke bageeche bhi behtar phal dein.

Hamara kaam DD Kisan channel par dikhaya gaya — hamare parivaar aur customers dono ke liye garv ka pal.

Aaj Lovely Nursery ke fruit plants, shuddh shahad aur natural products online milte hain — aur hamare stall par bhi.

Har plant damage-proof packing mein jaata hai, taaki lambi doori ke baad bhi fresh aur healthy pahunche.
Order usually 1–2 din mein dispatch hota hai aur aapki location ke hisaab se lagbhag 10–12 din mein deliver ho jaata hai.
Haan — hum shehar aur gaon dono jagah deliver karte hain. Checkout par apna pincode daal kar confirm kar lein.
Box turant kholein, halka paani dein aur 2–3 din plant ko halki chhaya mein rakhein. Phir zameen ya bade gamle mein lagayein.